Read this Chhand... I hope all the BETIYAN (Daughters) would like it.
Jab suna ki rishta ho gaya hai meri bahina ka.,
Khush Hua mai yun ki meri suni aankh ro padi..!!
Aur yaad aa raha tha mujhko, kya humara bachpana tha,
Holi kheli saath aur Diwali chhodi phul jhadi...!!
1- Kash laut aaye din, vo bachpane ke khel ke.,
Ki meri beimaniyon pe roothti thi tu badi.....!!
Aur mai manata tha tujhe, kar de na shikayat meri,
Par tu shikayat karke hi khush hoti thi badi badi...!!
Jab suna ki rishta ho gaya hai meri bahina ka.,
Khush Hua mai yun ki meri suni aankh ro padi..!!
Aur yaad aa raha tha mujhko, kya humara bachpana tha,
Holi kheli saath aur Diwali chhodi phul jhadi...!!
2- He prabhu ye betiyan paraya dhan bani hai kyon?
Jo janm se pita ke ghar me shaan se pali badhi..!!
Aur aaj jabki bhaiyon ke pyar me hai lad-chadhi..,
To janm le ke dusra, vo dusre ke ghar chali.....!!
Jab suna ki rishta ho gaya hai meri bahina ka.,
Khush Hua mai yun ki meri suni aankh ro padi..!!
Aur yaad aa raha tha mujhko, kya humara bachpana tha,
Holi kheli saath aur Diwali chhodi phul jhadi...!!
3- Ek chhint bhi kabhi na aaye teri aan pe..,
Ki Bhai hai vahi ki jo laga de jaan ki bali...!!
Aur Rakhi ki pavitrata ka maan rakhun shaan se.,
Ki mere sukh bhi teri jholiyon me jaye har ghadi...!!