Mai Chahta Hun Unse Nazdikiyan Badhana,
Dil Muskura ke lute, Chahe na paas aana....
1- Pahali nazar me hi vo chura le gayi dil ko,
Naam liya bus uska sanjh, savere din ko,
Jab bhi nazar milayee, galon pe surkhiyan thi,
Sharmayee kuchh lazayee naino ki putliya thi,
Milne ko kaise bolu, kya me karu bahana...
Me chahta hun unse nazdikiya badhana.
2- Kali ghata ka kajal naino me hai lagati,
Sawan ke megh ko vo kesho se hai bahati,
Danto se tab dabaye, chunni ka ek tukda,
Sharma ke vo chhupaye chanda ke jaisa mukhada,
Kaise use manaun, aata nahi rijhana......
Mai Chahta hun unase nazdikiyan badhana..........